Holi ka colour kese nikale

 Holi ka  colour kese nikale 

Holi khelna too sabko achcha lagta hai lekin. holi ke bad uske colour se hone wale side effect kisi ko bhi pasand nahi ate. Islie apne face , hair , body se Holi ka colour kese nikale ye janna sabhi ke liye jaruri hai. is post me main apko btane ja rahi hu ki Holi ka colour kese nikale.Ye sare tips holi ke awsar par apke bhut kaam aenge.

Face care 

Pre Holi Care
  • sunscreen lagaye

  1. Ye bhut jaruri face care tip hai. Wese too humesha hi sunscreen ka use jaruri hota hai lekin holi ke mauke par agar aap ghar se bahar holi khelenge too sun burn aur harmful light apko jyada pareshan kar sakti hai. Islie sunscreen ki protechtion layer lagana bilkul bhi na bhule.

  • Oil ya moisturizer lagaye

  1. kisi bhi tarah ka holi ka colour apke face par set na ho iske lie face par oil ya moisturizer cream ka use kare.

Post holi care 

  • besan aur nimbu se kare face wash

  1. Agar apke face me colour lga hua hai to face par soap ya Chemical wala facewash nahi karna chiye. Uski jagah par besan aur nimbu ka paste bnakar halke se massage karte hue colour nikale.
  2. face wash karne ke liye gungune pani ka use kare.


Hair Care

Pre Holi care
  • Hair Oil kare

  1. Holi ke colour se hair damage ko bachana hai too  ye sabse pehla step hai. apne hair ko protect kare aur oil massage jarur kare.
  2. Hair oil karte time bilkul bhi kanjusi na kare aur dher sara oil apne scalps me lagaye.

  • Khule hair na rakhe

  1. Hair style karne ke lie choti bnakar rakhe ya fir jooda banaye. 
  2. Khule hair m colour jldi apke hair m set ho jaega aur apke hair ko damage aur rough kar sakta hai.


Post hair care

  • Pani se colour bahaye

  1. agar apke hair m dher sara colour lag gaya hai to pehle pani se colour ko beh jane dijiye.
  2. Rich protein Shampoo ka upyog
  3. Holi ka colour apke hair ko rough na banaye islie rich protein shampoo se apne hair ko dhoye.


Body Care

Pre holi care

  • Full sleeves ke kapde pahne

  1. full sleeves ke kapde pahanne se aapki body covrage adhik hogi aur colour aapki body skin par na lagkar apke kapdo par lagega.

  • Body moisturize kare

  1. face ke sath- sath apni body par bhi oil lagaye. Hatho aur pairo me specially oiling jarur kare kyuki colour sabse jyada humare hatho me hi lagta hai.

Post holi care

  • coconut oil se nikale

  1. Body par direct bodywash ya soap na lagaye pehle coconut oil se colour ko nikale 

Extra Care Tips

  1. aapne nails ko holi ke colours se bachane ke lie nail paint lagaye
  2. eyes ki safety ke lie sunglasses pehan kar bahar holi khelne nikle

Post a Comment

Have any question about my blog feel free to ask me

рдФрд░ рдирдпा рдкुрд░ाрдиे