How to celebrate your everyday (apna har din kaise celebrate kar sakte hain )

How to celebrate your everyday (apna har din kaise celebrate kar sakte hain )



humari puri life ek celebration hai to iske har ek din ko celebrate krna too banta hai. Sari tension ek kinare rakhiye aur bas enjoy kijiye. 

Hum bas kuch special dino ko celebrate karne ki sochte hain jaise How to celebrate Christmas , how to celebrate birthday, how to celebrate holi , how to celebrate valentines day , how to celebrate anniversary , how to celebrate diwali etc.

Aaj me apko btane wali hu ki aap apne har din ko kaise celebrate kar sakte hain :

1. Morning

Har achi cheez ki shuruaat ek achi subah ke sath hoti hai. subah uthte hi ek acha positive thought ko sochiye aur apne din ki shuruaat kijiye. kehte hai na subah achi hoti hai too pura din acha jata hai.

2.Phone Call

phone par bate krna humari zindagi ka ek hissa ban chuka hai . Har din kise ek esse insan se Phone call par bat jarur karo jisse bat krke apko khushi milti hai. 

3. Enjoy 

Har ek din Special hai. Islie har ek din ko Enjoy Karna too banta hai. Enjoy kaise krna hai ye apko sochna hai. Jaise abhi is post ko likhte hue me enjoy kar rahi hu. Kyuki mujhe ye karna acha lagta hai. 

4. Activity

Koi ek essi activity ko apni life me shamil kijiye jisse apko khushi milti hai jaise dance karke kisi bhi music ko enjoy kar skte hain.Apne exercise time ko enjoy kar sakte hai. 

5. food

Celebration ki bat ho to ache food ki bat too hogi hi. Lekin aap kya khate hain usse bhi jyada jaruri hai aap kitni khusi ke sath apna bhojan karte hain. humesha apne food ko enjoy karke khaiye. 

2 टिप्पणियाँ

Have any question about my blog feel free to ask me

एक टिप्पणी भेजें

Have any question about my blog feel free to ask me

और नया पुराने